Header Ads

Asia Cup 2018 Main Pakistan Ki Policy





Pakistan



Pakistan ney aik bohat hi slow wicket par danish mandee dikhayi, aqal o mehnat se Asia Cup ke pehlay match mein Hong Kong ko 8 wickets se hara kar tournament ka acha aghaaz kya jis ke liye poori team tareef ke qabil hai, Hong Kong ko Asaan Team kehna sahi nahi tha. theek hai ke mutahidda Arab Amarat ko hara kar tournament main pehli martaba daakhil hui, yeh is ke liye bohat barra Aizaz hai, hareef team ziyada tar Pakistan aur Indian khiladion par mushtamil hai, jahan cricket maqbool tareen khail hai, aur phir toss jeet kar pehlay aik saaf suthree wicket par score karna asan tha, captain Anshumaan, aur un ke saathi ney behtareen aaghaz kya, Aamir ke pehlay hi over mein nazakat ney do boundries samaitt kar 11 runs banaye, lekin usmaan shnwari aur Aamir ney foran hi line lenght sahi karli aur hareef batsmanon ko khil kar khailnay ka moqa nahi diya. doosri taraf 17 runs par Fahim Ashraf ney nazakat ko wicket keeper Sarfaraz ke hathon catch out krwadya. woh behtareen baal thi, thori si out soyng hui aur nazakat ko khailnay par majaboor kardiya, aik taraf to Pakistani bolrz, Aamir , shnwari aur left arm spiner shadaab behtareen bowling karkay mukhalif team ki wickten uraney main masroof thay, to doosri taraf Pakistani team ney Alla tareen fielding ka muzahira kiya, khaas tor par shadaab ney captain Anshumaan ko run out kya direct through karkay, woh qa bil deed tha, shadaab ney do wickten bhi len, aur kai aik chokay bhi rokay, jaan maar kar fielding ki, Pakistani fielders ne kayi aik chokay boundry ke qareeb bachaaye aur Hong kong ko difai khail khailnay par majaboor kardiya. aik waqt 45 runs par 5 out thay lekin shnwari, Hasan Ali , shadaab ki Gugli ney dushman ke chhakay churra dyie. poori team 116 runs par hi bana saki aur 37. 1 overs mein dhair hogayi. shnwari jo ke is waqt Pakistan ke taiz tareen bowler hain, ney behtareen line or length par bowling aur do clean bold ke y. yeh un ki mahaarat ka mun boltaa saboot tha. jaisay jaisay match agay barhta gaya Dubai ki wicket slow hoti gayi aur stroke khelna dushwaar hogaya, herat y hay ke Farakh Zaman jaisay jarehana opening batsman jis ney champions trophy mein aala muzahira kiya tha, is martaba difai khail par majaboor ho gay jo ke is ki fittar t- nahi hai, lekin aik achchhaa khilari halaat ko dekhte hue –apne tor par tareeqay badlany par majaboor ho jata hai, is liye wickten bachana bhi to maqsood hota hai, Fakhir sirf 24 runs bana sakay, lekin Babar Azam ney behtareen khail ka muzahira kiya, aur doosri taraf se imam Al Haq ney nisf century bananay ka aizaz haasil kya, Babar Azam ke out honay ke baad sabiq captain Shoiab malik aeye lekin unhon ney imam Al Haq ko poora mauqa diya ke woh nisf century bana len aur aakhir woh kamyaab hogaye. Imam Al Haq par ilzaam tha ke woh cheif selector Inzimam Al Haq ka bhanja honay ke nate team mein muntakhib hue lekin inho ne kayi ae k ining mein apna loha manwaya ke woh Pakistan ki numaindagi ka poora haq rakhtay hain, aakhir mein Shoiab malik ney chakka laga kar match Pakistan ko jtwa diya, Shoiab malik middle order position par behtareen batting karte hain, aur of span bowling bhi bohat achi karte hain, un ke aglay saal honay walay world cupp mein khailnay ke mawaqay achay khasay hain team ko un ki zaroorat hai, is match ke baad team mein naya aetmaad aaya hoga aur chunkay agla match riwayati hareef hindostan ke khilaaf 19 September kohe to Pakistan ko achchhaa practice ka moqa mil jaye ga. agar aisay hi team yakja avrhmt aur azm ke sath khelti rahi to hindostan ko bhi dono match hara sakti hai.

No comments

Powered by Blogger.