Qaumi Cricket Cheif Selector Inzimam ul Haq Dubai Pohnch Gaye
Qaumi
Cricket Cheif Selector Inzimam ul Haq Dubai pohnch gaye woh Asia Cup main
Pakistan ka Bangladesh se Match aur team ki rasai ki soorat main Final dekhnay
ke baad watan wapas ayen gey.
zaraye ne bataya ke Inzimam ul Haq tour selection committee ki janib se playing 11 ke intikhab se khush nahi, unhain lagta hai ke ab tak durust combination ground main nahi utaara gaya, team mein tawazun ki kami nazar aaye hai isi liye woh baqiya matches ke liye playing Eleven ke intikhab main apni raiye bhi dena chahtay hain .
zaraye ne mazeed bataya ke Coach Mickey Arthur ka selection main amal o dakhal had se ziyada barh chuka unhi ke kehnay par Mohammad Hafeez ko drop kya gaya tha, jab tak team jeet tee rahi to unhein mann maani karne di gai magar ab mutawatar nakamiyoon se selection committee par dabao barh gaya lehaza woh apni ahmiyat manwana chahti hai .
wazeh rahay ke Asia Cup mein Pakistan ka wednesday ko Bangladesh se muqaabla ho ga, dono teams ke liye yeh match Semi Final jaisi ahmiyat rakhta hai .

Post a Comment