Dabangg Ballay Baz Imran Nazir Lahore Qalandar Ka Hissa Ban Gaye Hain
Lahore: Dabangg ballay baz Imran Nazir Lahore Qalandar ka hissa
ban gaye hain. Tafseelaat ke mutabiq Pakistan ke maaya naz ballay baaz Imran
Nazir Pakistan Super league main Action main nazar anay ke liye tayyar hain.
Dhuwan daar ballay baazi ke liye mashhoor Imran Nazeer injury ke baais taweel
arsay se cricket ke mahdanon se door they .
Taham ab injury se chhutkara panay ke baad Imran Nazir dobarah se Cricket ke grounds main action mein nazar ayen ge. Imran Nazir ney Pakistan Super league ki Franchize Lahore Qalander se moahida kar liya hai. Imran Nazir Pakistan super league 4 main Lahore Qalander ki Numaindagi Karen ge. Jab k Imran Nazir next month (U.A.E) main honay wali T 20 league main bhi Lahore Qalandar ki numaindagi karen ge .

Post a Comment